Wednesday, March 24, 2010

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi

Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto.
Ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto.

Kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain;
Ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto.

Apne siva hamare na hone ka gam kise;
Apni talash main to ham hi ham hain dosto.

Kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha;
Kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto.

Is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo;
Ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto.

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai;
Duniya main aise log bahut kam hain dosto.

(Poet: Ahmed Faraz)