Wednesday, March 24, 2010

Eik Masoom Takaddus Mein

Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams.
Kitna pakeeza hai ehsas mein dhoya huwa lams.

Ye tere jism ki khushboo ka sonehra ehsas;
Jis terha chand ke haaley mein paroya huwa lams.

Us ke hontoon ko main chhu loon to guman hota hai;
Jese janat ke gulaboon mein daboya huwa lams.

Jo meri rouh mein utrey he chale jate ho;
Ik nae rang mein ubhrey ga ye boya huwa lams.

Bhegi khusboo mein basa wasl mein bhega bhega;
Kitna masoom hai pehlo mein ye soya huwa lams.

Tishnagi aan basi hai meri pooroon mein 'Wasi';
Dhondta phirta hoon mudat se main khoya huwa lams.

(Poet: Wasi Shah)

Ku-ba-ku Phail Gai Baat

Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki.
Us ne Khushboo ki tarah meri pazirai ki.

Kaise kah doon ke mujhe chor diya hai us ne;
Baat to sach hai magar baat hai rusvai ki.

Vo kahin bhi gaya lauTa to mere paas aya;
Bas yahi baat hai achchhi mere harajai ki.

Tera pahalo tere dil ki tarah abad rahe;
Tujh pe guzare na qayamat shab-e-tanhai ki.

Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha;
Rouh tak aa gai taseer maseehai ki.

(Poetess: Parveen Shakir)

Tarap Uthoon Bhi To Zalim

Tarap uthoon bhi to zalim teri duhai na doon.
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhai na doon.

Tere badan main dharakne laga hoon dil ki tarah;
Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunai na doon.

Khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai;
Ke ab kabhi use ilzam-e-bevafai na doon.

Mujhe bhi dhundh kabhi ae mahv-e-ainadari;
Main tera aqs hoon lekin tujhe dikhai na doon.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tere Hote Hue Mahfil Mein

Tere hote hue mahfil mein jalate hain chirag.
Log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag.

Apni mahrumiyo pe sharminda hain;
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag.

Bastiyan chand sitaro pe basane vale;
Kurra-e-arz pe bujhate jate hain chirag.

Kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain;
Jo zamane ki havaon se bachte hain chirag.

Aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz';
Raat to raat ham din ko jalate hain chirag.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi

Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto.
Ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto.

Kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain;
Ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto.

Apne siva hamare na hone ka gam kise;
Apni talash main to ham hi ham hain dosto.

Kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha;
Kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto.

Is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo;
Ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto.

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai;
Duniya main aise log bahut kam hain dosto.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tuesday, March 23, 2010

O Des Say Aney Waley Bata

O des say aney waley bata

Kis haal mein hain yaran-e-watan?
Aawara-e-ghurbat ko bhi suna
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi watan mein waise hi
Sar-mast nazarey hotey hain?
Kiya ab bhi suhani raton ko
Wo chand sitarey hotey hain?
Hum khail jo khaila kartey they, kiya
Ab bhi wo sarey hotey hain?

O des say aney waley bata

Shadab shagufta pholon sey
Ma'moor hain gulzar ab k nahien?
Bazar mein malan lati hai
Pholon k gundhey haar ab k nahien?
Aur shouq sey totey partey hain
No-umr khareedar ab k nahien?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan
Aur madh bhari ratain hoti hain?
Kiya raat bhar ab bhi geeton ki
Aur piyar ki batain hoti hain?
Wo husn k jado chaltey hain
Wo ishq ki ghatain hoti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan k panghat per
Pinhariyan pani bharti hain?
Ungrai ka naqsha ban ban kar
Sab mathey pe gagar dharti hain?
Aur apney ghar ko jatey howe
Hansti hoi chehlain karti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein
Ghanghor ghatain gonjti hain?
Sahil k ghanerey pairon mein
Barkha ki sadahien gonjti hain?
Jhengar k taraney jagtey hain
Morom ki sadahien gonjti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi
Barsat ka joban hota hai?
Phailey howe Pair ki shakhon mein
Jholon ka nasheman hota hai?
Umdey howe badal hotey hain
Chaya howa sawan hota hai?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan barsat k din
Baghon mein baharain ati hain?
Masoom o haseen do-shiza'ain
Barkha k taraney gati hain?
Aur tetariyon ki tarha sey rangeen
Jholon per lehrati hain?

O des say aney waley bata

Kiya pehli si hai masoom abhi
Wo madrasey ki shadab fiza?
Kuch bholey howe din guzrey hain
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi kisi k seeney mein
Baqi hai humari chah bata?
Kiya yad humain bhi karta hai ab
Yaron main koi Aah bata?
O des say aney waley bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des say aney waley bata

Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey
Rewar ko charaney jatey hain?
Aur sham k dhundhley sayon k
Ham-rah ghar ko atey hain?
Aur apni raseeli bansriyon
Mein ishq k naghmey gatey hain?

O des say aney waley bata

Akhir mein ye hasrat hai k bata
Wo gharat-e-eman kaisi hai?
Bachpan mein jo aafat dhati thi
Wo aafat-e-doran kaisi hai?
Hum dono thay jis k parwaney
Wo shama-e-shabistan kaisi hai?

O des say aney waley bata

Marjana tha jis ka naam bata
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai?
Jis per thay fida tiflan-e-watan
Wo jan-e-watan kis haal mein hai?
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan
Wo seem badan kis haal mein hai?

O des say aney waley bata

Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan
Maikay mein hai ya susraal gai?
Do-sheeza hai ya aafat mein usay
Kam-bakht jawani daal gai?
Ghar per hi rahi ya ghar say gai
Khush haal rahi, khush haal gai?

O des say aney waley bata

(Poet: Akhtar Shirani)

Monday, March 22, 2010

Jo Khayal Thay Na Qayas Thay

Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.
Jo mohabbaton ki asaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Jinhain manta hi nahien ye dil, wohi loag merey hain hamsafar;
Mujhey har terha sey jo raas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton ke saraab bohat satayein gey;
Meri umr bher ki jo pyaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Ye jaal sarey hain aarzi, ye gulaab sarey hain kaghzi;
Gul-e-arzo ki jo baas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Jinhain ker saka na kubool main, wohi shareek-e-rah safer huey;
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Meri dharkanon ke kareeb thay, meri chah thay mera khuaab thay;
Wo jo roz-o-shab meray pass thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

(Poet: Aitbar Sajid)

Monday, March 15, 2010

Self Made Lougon Ka Almia

Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai
Zindagi ke rastey mein bichney waley kanton ko
Rah sey hataney mein
Aik aik tinkey sey ashiyan bananey mein
Khushboain bakerney mein
Gulistan sajaney mein
Umer kat detain hain
Or apney hisey ke phool bant detain hain
Kaisi kaisi khwaishon ko qatal kertey jatey hain
Derguzer ke gulshan mein aber ban k rehtein hain
Saber ke samunder mein kashtian chalatey hain

Yeh nahien ke in ko roz-o-shab ki kawish ka
Kuch sila nahien milta
Merney wali ahon ka khoon baha nahien milta
Zindagi ke daman mein jis qadar bhi khushian hain
Sab hi hath atien hai
Sab hi mil bhi jatien hain
Waqt per nahien miltien
Waqt per nahien atien
Yani un ko mehnat ka ajer mil to jata hai
Lakin is tarah jaisey
Qerz ki koi reqm qist qist ho jaey
Asal jo ibarat ho pass-e-nawisht ho jaey
Fasl-e-gul k akhir mein phool un ke khiltey hain
Jin ke sehn mein soorej dair sey nikaltey hain

(Poet: Amjad Islam Amjad)

Tu Mera Naam Na Poocha Kar

Tu mera naam na poocha kar

Main teri zaat ka hissa hoon
Main teri soch main shamil hoon
Main teri neend ka qissa hoon
Main terey khwab ka haasil hoon
Main teri yaad ka mehwar hoon
Main teri saans ka jhonka hoon
Tu manzar, main pas manzar hoon
Main lamha hoon, main jazba hoon
Jazbey ka koi naam nahien

Tu mera naam na poocha kar

(Poet: Mohsin Naqvi)

Sunday, March 14, 2010

Sochta Hoon Ke Bohat Sada

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main abhi us ko shanasa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karoon
Us ko ruswa na karoon waqf-e-museebat na karoon

Sochta hoon ke abhi ranj se azad hai wo
Waqif-e-dard nahien, khoogar-e-alam nahien
Sehr-e-aish mein us ki asar-e-sham nahien
Zindagi us keliye zehr bhara jam nahien

Sochta hoon ke muhabbat he jawani ki khizan
Us ne dekha nahien dunya mein baharon ke siwa
Nik'hat-o-noor se labraiz nazaron ke siwa
Sabza zaron ke siwa aur sitaron ke siwa

Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaoon us ko
Samne us ke kabhi raz ko uryan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast-o-garayban na karoon
Us ke jazbat ko mein shola ba-daman na karoon

Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Wo muhabbat ki bhala taab kahan laye gi
Khud to wo atish-e-jazbat mein jal jaye gi
Aur dunya ko is anjam se taRpaye gi

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main usay waqif-e-ulfat na karoon

(Poet: Noon Meem Rashid)

Farz Karo Ham Ahl-e-wafa

Farz karo ham ahl-e-wafa hoon, farz karo divane hoon
Farz karo ye donon baatain jhuTi hoon afsane hoon

Farz karo ye ji ki bipta ji se joR sunayi ho
Farz karo abhi aur ho itni aadhi ham ne chhupayi ho

Farz karo tumhein Khush karne ke Dhounde ham ne bahane hoon
Farz karo ye nain tumhare sach much ke maiKhane hoon

Farz karo ye rog ho jhuTa jhuTi peet hamari ho
Farz karo is peet ke rog mein saans bhi ham pe bhari ho

Farz karo ye jog bi-jog ka hamne Dhong rachaya ho
Farz karo bas yahi haqiqat baaqi sab kuch maya ho

(Poet: Ibn-e-Insha)

Darwaza Khula Rakhna

Dil dard ki shiddat say khoon gushta-o-see parah
Is sheher mein phirta hay ek wehshi aawarah
Shayaer hai keh aashiq hai,jogi hai keh banjara

Darwaza khula rakhna

Seney sey ghata uthay, aankhoon sey jhari barsey
Phagan ka nahien baadal,jo char ghari barsey
Barkha hai yeh bhadoon ki, barsey tou bari barsey

Darwaza khula rakhna

Aankhoon mein tou ek aalam, aankhoon mein tou dunya hai
Hoonton peh magar mohrein,monh sey kuch nahien kehta hai
Kis cheez ko kho betha hey, kiya dhondney nikla hai?

Darwaza khula rakhna

Haan tham mohabbat ki ger tham sakay doori
Saajan hai tera saajan, ab tujh sey tou kiya chori
Yeh jis ki manadi hai basti mein teri gori

Darwaza khula rakhna

Shikwon ko utha rakhna, aankhoon ko bicha rakhna
Ek shamma dareechay ki chokhat peh jala rakhna
Maayus na phir jaye, haan paas-e-wafa rakhna

Darwaza khula rakhna

(Poet: Ibn-e-Insha)

Sab Maya Hai

Sab maya hai , sab dhalti phirti chaya hai
Is ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
Jo tum nay kaha hai, Faiz nay jo farmaya hai

Sab maya hai

Haan gahay gahay deed ke doulat haath aayi
Ye aik woh lazat naam hai jis ka ruswayi
Bas us kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai

Sab maya hai

Ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahien
Jab daikh liya is sooday mein nuqsaan nahien
Tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai

Sab maya hai

Maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
Sab aik say hain, yeah Ranjha bhi, yeh Insha bhi
Farhad bhi jo ik nahar si khood kay laya hai

Sab maya hai

Kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoon
Jis saat samandar par ke naar ke baat karoon
Us naar say koi aik nay dhoka khaya hai?

Sab maya hai

Jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
Tum jantay ho, hum kiyonkar us ka naam likhain
Dil us ke chookhat chom kay wapis aaya hai

Sab maya hai

Woh larki bhi jo chaand nagar ki raani thi
Woh jis ke alhaar ankhoon mein hayraani thi
Aa us nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai

Sab maya hai

Jo loug abhi tak naam wafa ka laytay hain
Woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
Haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai

Sab maya hai

Jab daikh liya har shakhas yahaan harjayi hai
Is shehar say door aik kutiya hum nay banayi hai
Aur us kutiya kay maathay pay likhwaya hai

Sab maya hai

(Poet: Ibn-e-Insha)

Ik Baar Kaho Tum Meri Ho

Hum ghoom chuke basti ban mein
Ik aas ki phans leye man mein
Koi sajan ho, koi piyara ho
Koi depak ho, koi tara ho
Jab jewan raat undhairi ho

Ik baar kaho tum meri ho

Jab sawan badal chaay hoon
Jab phagan phool khilaay hoon
Jab chanda roop lutata ho
Jab soraj dhoop nahata ho
Ya shaam nay basti ghairi ho

Ik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila hai
Kyu gori ka dil maila hai
Hum kab tak peet k dhoke mein
Tum kab tak door jharoke mein
Kab deed sey dil ko sairi ho

Ik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagra sood khasare ka
Ye kaaj nahien banjaare ka
Sab sona roopa lay jaay
Sab duniya, duniya lay jaay
Tum aik mujhe bohteri ho

Ik baar kaho tum meri ho

(Poet: Ibn-e-Insha )

Ashk Ankhon Mein Kab Nahien

Ashk ankhon mein kab nahien ata.
Lahu ata hai jab nahien ata.

Hosh jata nahien raha lekin;
Jab wo ata hai tab nahien ata.

Dil se rukhsat hui koi khwahish;
Girya kuch be-sabab nahien ata.

Ishq ka hausala hai shart warna;
Baat ka kis ko dhab nahien ata.

Ji mein kya kya hai apne ae hamdam;
Har sukhan ta ba-lab nahien ata.

(Poet: Mir Taqi Mir)

Hasti Apni Hubaat Ki Si Hai

Hasti apni Hubaab ki si hai.
Ye numa'ish suraab ki si hai.

Naazuki us ke lab ki kya kahiye;
PankhaRi ik gulaab ki si hai.

Baar baar us ke dar pe jaata hoon;
Haalat ab iztiraab ki si hai.

Main jo bola kaha ke ye awaz;
Usi Khaana Kharaab ki si hai.

'Mir' un neem-baaz aankhon mein;
Saari masti sharaab ki si hai.

(Poet: Mir Taqi Mir)

Tuesday, March 9, 2010

Kis Qayamat Ki Ghata Chhayi

Kis qayamat ki ghaTa chhayi hai.
Dil ki har choT ubhar aayi hai.

Dard badnaam, tamanna rusva;
Ishq rusvaai hi rusvaai hai.

Us ne phir yaad kiya hai shaayad;
Dil dhaRakne ki sada aayi hai.

Zulf-o-ruKhsar ka manzar tauba;
Shaam aur subh ki yakjaai hai.

Ham se chhup chhup ke sanvarne vaale;
Chashm-e-aaina tamashai hai.

Dil tamanna se hai kitna bezaar;
Thokarein kha ke samajh aayi hai.

Tum se 'Mahir' ko nahien koi gila;
Us ne qismat hi buri paayi hai.

(Poet: Mahirul Qadri)

Tu Is Qadar Mujhe Apne

Tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai.
Tujhe alag se jo sochoon ajeeb lagta hai.

Jise na Husn se matlab na ishq se sarokar;
Vo shakhs mujh ko bahut bad-naseeb lagta hai.

Hudood-e-zat se bahar nikal ke dekh zara;
Na koi Ghair, na koi raqeeb lagta hai.

Ye dosti, ye marasim, ye chahatein, ye Khuloos;
Kabhi kabhi ye sab kuchh ajeeb lagta hai.

Ufaq pe dour chamakta huva koi tara;
Mujhe charaGh-e-dayar-e-Habeeb lagta hai.

Na jaane kab koi tufaan aaye ga yaro;
Buland mauj se sahil qareeb lagta hai.

(Poet: Jan Nisar Akhtar)

Insha Ji! Utho Ab Kooch Karo

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya.

(Poet: Ibn-e-Insha)

Sunte Hain Phir

Sunte hain phir chup chup unke ghar mein aate jate ho.
Insha sahab na'haq ji ko vahshat mein uljhate ho.

Dil ki baat chhupani mushkil,lekin Khoob chhupate ho;
Ban mein danaa,shehar ke andar divane kehlate ho.

Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadab ke saath;
Aankh chura kar dekh bhi lete ho, bhole bhi ban jate ho.

Peet mein aise lakh jatan hain, lekin ek din sab nakam;
Aap jahan mein rusva ho ke, vaaz hamein farmate ho.

Ham se naam junoon ka qaim, ham se dasht ki abadi;
Ham se dard ka shikva karte, ham ko zakhm dikhate ho.

(Poet: Ibn-e-Insha)

ChiraGh-e-tur Jalao

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai.
Zara naqab uthao baRa andhera hai.

Mujhe Khud apni nigahon pe aitmad nahien;
Mere kareeb na aao baRa andhera hai.

Vo jin ke hote hai Khurshid aasteenon mein;
Unhein kahien se bulao baRa andhera hai.

Abhi to subh ke maathe ka rang kala hai;
Abhi fareb na khao, baRa andhera hai.

(Poet: Firaq Gorakhpuri)

Husn Ko Be-hijab Hona Tha

Husn ko be-hijab hona tha.
Shauq ko kamyab hona tha.

Hijr mein kaif-e-iztirab na pooch;
Khoon-e-dil bhi sharab hona tha.

Tere jalvon mein ghir gaya aKhir;
Zarre ko aftab hona tha.

Kuch tumhari nigaah kafir thi;
Kuch mujhe bhi Kharab hona tha.

Raat taron ka TooTna bhi 'Majaz';
Ba'ais-e-iztirab hona tha.

(Poet: Majaz Lucknawi)

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera

Ye dil ye pagal dil mera, kyon bujh gaya aavargi.
Is dasht mein ek shehar tha, vo kya huwa aavargi.

Kal shab mujhe be-shakl si aavaz ne chaunka diya;
Main ne kaha tu kaun hai, us ne kaha aavargi.

Ek tu ke sadiyon se mera, ham-rah bhi, ham-raz bhi;
ek main ke tere naam se, na-aashna aavargi.

Ye dard ki tanhaiyan, ye dasht ka viran safar;
Ham loug to ukta gaye, apni suna aavargi.

Ek ajnabi jhonke ne jab, poochha mere Gham ka sabab;
Sehra ki bheegi reit par, main ne likha aavargi.

Logo bhala us shehar mein, kaise jiyenge ham jahan;
Ho jurm tanha sochna, lekin saza aavargi.

Le ab to dasht-e-shab ki sari wusatain sone lageen;
Ab jagna hoga hamein kab tak bata aavargi.

Kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne Khvab mein
'Mohsin' mujhe raas aayegi shaayad sada aavargi.

(Poet: Mohsin Naqvi)

Monday, March 8, 2010

Subh Ta Shaam Sochta Hoon

Subh ta shaam sochta hoon main.
Sau tere naam sochta hoon main.

Ye jo ek taza aag bhaRki hai;
Is ka anjaam sochta hoon main.

Saamne hai qalam bhi kaaGhaz bhi;
Aur paiGhaam sochta hoon main.

Tujh se is dil ka jo ta'alluq hai;
Us ka kuchh naam sochta hoon main.

Aik shaam-e-firaq Dhal bhi gayi;
Phir bhi har shaam sochta hoon main.

Kya sabab hai Gham-e-zamana ka;
La zara jaam, sochta hoon main.

Ab koi fikr hi nahien 'Baqi';
Bas tera naam sochta hoon main.

(Poet: Baqi Ahmadpuri)

Baarhaa Aise Bhi Apne Dil Ko

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana paRa.
Sham-e-tanhahi mein yadon se lipaT jana paRa.

Har dafha pahli shana-sahiyan na yaad aayeen use;
Har dafha apna taharruf phir se karvana paRa.

Reza reza ho gaye hain aaj mere Khvaab phir;
Aaj ek patthar se phir sheeshe ko takrana paRa.

Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana paRa.

Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana 'Jaleel';
Dil ke go har faisile par hameen pachtana paRa.

(Poet: Ahmed Jaleel)

Aik Purani Baat

Jo bhi ghar se jata hai
Ye keh kar hi jata hai
"Dekho, mujh ko bhool na jana
Main phir lauT ke aahonga
Dil ko achhe lagne vale
Lakhoon tuhfe lahonga
Naye naye lougon ki batain
Aa kar tumhein sunahonga"
Lekin aankhein thak jati hain
Vo vapis nahien aata hai
Loug bahut hain aur vo akela
Unn mein gum ho jata hai

(Poet: Munir Niazi)

Mujh Se Pahli Si Mohabbat

Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang

Maine samjha tha ke tu hai to daraKhshaan hai hayat
Tera Gham hai to Gham-e-dehar ka jhagRa kya hai
Teri soorat se hai aalam mein bahaaroon ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
Tuu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki raahat ke siva

Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang

Unginat sadiyon ke tareek bahimana talism
Resham-o-atlas-o-kam-Khvaab mein bunvaaye huhe
Ja-ba-ja bikte huhe koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithaRe huhe Khoon mein nahlaaye huhe
LauT jati hai udhar ko bhi nazar kya keejiye
Ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya keejiye
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki raahat ke siva

Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang

(Poet: Faiz Ahmed Faiz)

Koi Ham-nafas Nahien Hai

Koi ham-nafas nahien hai, koi razdaan nahien hai.
Faqat ek dil tha apna, so vo mehrbaan nahien hai.

Kisi aur Gham mein itni Khalish-e-nihaan nahien hai;
Gham-e-dil mera rafiqo, Gham-e-rayegaan nahien hai.

Meri rouh ki haqeeqat mere aansuon se poochho;
Mera majlisi tabassum, mera tarjumaan nahien hai.

Kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro;
BaRi dhoop paR rahi hai, koi sayebaan nahien hai.

Inheen pattharoon pe chal kar agar aa sako to aao;
Mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahien hai.

(Poet: Mustafa Zaidi)

Dil Mein Ek Lehar Si

Dil mein ek lehar si uThi hai abhi.
Koi taza hava chali hai abhi.

Shor barpa hai Khana-e-dil mein;
Koi divar si giri hai abhi.

Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;
Aur ye choT bhi nayi hai abhi.

Bhari duniya mein ji nahien lagta;
jaane kis cheez ki kami hai abhi.

Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;
Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.

Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;
Teri aavaz aa rahi hai abhi.

Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;
Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.

So gaye loug us haveli ke;
Ek khiRki magar khuli hai abhi.

Tum to yaro abhi se uTh baiThe;
Shehar mein raat jagti hai abhi.

Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';
Gham na kar zindagi paRi hai abhi.

(Poet: Nasir Kazmi)

Tum Ne To Keh Diya

Tum ne to keh diya ke mohabbat nahien mili.
Mujh ko to ye bhi kehne ki mohlat nahien mili.

Neendon de dais jaatay koi Khaab dekhtay;
Lakin diya jalaanay se fursat nahien mili.

Tujh ko to Khair shehar ke logon ka Khaof tha;
Aur mujh ko apnay ghar se ijaazat nahien mili.

phir ikhtilaf-e-rahey ki surat nikal pari;
Apni yahaan kisi se bhi aadat nahien mili.

Bezaar yoon huay ke tere aihad mein hamein;
Sab kuch mila magar sukoon ki dolat nahien mili.

(Poetess: Noshi Gilani)

Sunday, March 7, 2010

Ae Jazba-e-dil

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon, har cheez muqabil aa jaaye.
Manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye.

Kashti ko Khuda per chhoR bhi de, kashti ka Khuda Khuda hafiz hai;
Mushkil to nahien in maujoon mein, behta huva saahil aa jaaye.

Ae dil ki lagi chal yuon hi sahi, chalata to hoon unki mahfil mein;
Us vaqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mahfil aa jaaye.

Ae rahbar-e-kamil chalane ko, tayar to hoon par yaad rahe;
Us vaqt mujhe bhaTka dena, jab saamne manzil aa jaaye.

Haan yaad mujhe tum kar lena, aavaz mujhe tum de lena;
Is rah-e-muhabbat mein koi, darpaish jo mushkil aa jaaye.

Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam;
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.

Is jazba-e-dil ke bare mein, ek mashvara tum se leta hoon;
Us vaqt mujhe kya lazim hai, jab tujh pe mera dil aa jaaye.

Ae barq-e-tajalli kya tu ne, mujhko bhi Moosa samjha hai;
Main toor nahien jo jal jahoon, jo chaahe muqabil aa jaaye.

(Poet: Behzad Lucknawi)

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta

Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien

Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se

Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi

Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai

(Poet: Sahir Ludhianvi)

Hijr Ki Raat Dhale Na Dhale

Hijr ki raat Dhale na Dhale.
le Gham-e-janaan ham to chale.

Divane ki maut na pouch;
Ahl-e-Khirad ne haath male.

Apni lagan hai apna laag;
Kaun bure aur kaun bhale.

Duniya mein daanaa hai vohi;
Jo duniya ke saath chale.

Chashm-e-tamasha ye bhi dekh;
Phool hanse aur shaaKh jale.

BichhRe huhe dukh 'Saif' hamein;
Ro ro ke milte hain gale.

(Poet: Saif-ud-din Saif)

Socha Nahien Achha Bura

Socha nahien achha bura, dekha suna kuch bhi nahien.
Maanga Khuda se raat din, tere siva kuch bhi nahien.

Dekha tujhe, socha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe;
Meri Khata meri wafa, teri Khata kuch bhi nahien.

Jis par hamari aankh ne, moti bichhaye raat bhar;
Bheja wahi kaaGhaz use, hamne likha kuch bhi nahien.

Ik shaam ki dah'leez par, baiThe rahe vo der tak;
Aankhon se ki baatain bahut, muonh se kaha kuch bhi nahien.

Do chaar din ki baat hai, dil Khaak mein so jaayega;
Jab aag par kaaGhaz rakha, baki bacha kuch bhi nahien.

Ahsaas ki Khushbo kahaan, aavaz ke jugno kahaan;
Khamosh yaadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahien.

(Poet: Bashir Badr)

Ek Umr Se Khamosh Hain

Ek umr se Khamosh hain divar ki surat.
Yeh bhi to muhabat mein hai izhar ki surat.

Is Khauf se main band kiye baitha hoon aankhein;
Ho ghar mein mere phir na shab-e-taar ki surat.

Jaane vo kahaan dafn hohe phool se jazbe;
Ab haath bhi malte hain to talvar ki surat.

Surat hai kuch aisi ke mere charagaron se;
Dekhi nahien jaati tere beemar ki surat.

Un se to 'Asad' kuch na huwa raah-e-vafa mein;
Ab tum hi nikaalo koi Aisar ki surat.

(Poet: Asad Jafri)

Main Nazar Se Pi Raha Hoon

Main nazar se pi raha hoon, yeh samaan badal na jaaye.
Na jhukaho tum nigaahein, kahien raat Dhal na jaaye.

Abhi raat kuch hai baqi, na uTha naqaab saqi;
Tera rind girte girte, kahien phir sanbhal na jaaye.

Meri zindagi ke maalik, mere dil pe haath rakhna;
Tere aane ki khushi mein, mera dam nikal na jaaye.

Mere ashk bhi hain is mein, yeh sharaab ubal na jaaye;
Mera jaam chhounne vaale, tera haath jal na jaaye.

Main bana to loon nasheman, kisi shaaKh-e-gulsitaan pe;
Kahien sath aashiyan ke, yeh chaman bhi jal na jaaye.

Mujhe phoonkne se pehle, mera dil nikaal lena;
Yeh kisi ki hai amaanat, mere sath jal na jaaye.

(Poet: Anwar Mirzapuri)

Main Khayaal Hoon Kisi Aur Ka

Main Khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai.
Sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina koi aur hai.

Main kisi ke dast-e-talab mein hoon, to kisi ke harf-e-duwa mein hoon;
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangata koi aur hai.

Kabhi lauT aayein to na poochhna, sirf dekhna baRe Ghaur se;
Jinhein raaste mein Khabar huhi, ke yeh raasata koi aur hai.

Ajab aitbar-o-be-aitbari ke darmiyan hai zindagi;
Main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanata koi aur hai.

Vahi munsifoon ki rivayatein, vahi faisaloon ki ibaratein;
Mera jurm to koi aur tha, par meri saza koi aur hai.

Teri roshni meri Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar;
Tu qareeb aa tujhe dekh loon, tu vahi hai ya koi aur hai.

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko 'Saleem' subh na mil saki;
To phir is ke maani to ye huhe, ke yahaan Khuda koi aur hai.

(Poet: Saleem Kausar)

Ranjish Hi Sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa.
Aa phir se mujhe chhor ke jane ke liye aa.

Pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau;
Rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.

Kis kis ko batayein ge judahi ka sabab ham;
Tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa.

Kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh;
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa.

Ek umr se hoon lazat-e-giriya se bhi mahroom;
Ai rahat-e-jaan! mujh ko rulane ke liye aa.

Ab tak dil-e-Khush-feham ko tujh se hain umeedain;
Yeh aaKhri shammein bhi bujhane ke liye aa.

(Poet: Ahmed Faraz)

Kutch Tu Hawa Bhi Sard Thi

Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Dil ko khushi k saath saath, hota raha malaal bhi.

Baat wo aadhi raat ki, raat wo purey chand ki;
Chand bhi ain chait ka, uspe tera jamaal bhi.

Sab se nazar bacha k wo, mujh ko kuch aise dekhta;
Aik dafa tu ruk gahi gardish-e-mah-o-saal bhi.

Dil tu chamak sakey ga kia, phir bhi tarash k dekh lain;
Sheesha garan-e-shehar ke haath ka yeh kamaal bhi.

Usko na paa sakey thay jab, dil ka ajab haal tha;
Ab jo palat k dekhiye, baat thi kuch muhaal bhi.

Meri talab tha ek shaks, wo jo nahi mila tu phir;
Haath dua se yuon gira, bhool gaya sawaal bhi.

Uski sukhan taraziyan, mere liye bhi dhhal thein;
Uski hansi main chup gaya, apne ghamon ka haal bhi.

Gah-e-kareeb shahrag, gah-e-baeed wehm-o-guman;
Uski rafakaton mein raat, hijar bhi tha wasaal bhi.

Shaam ki nasamjh hawa, pooch rahi hai ek pata;
Moj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch tu mera khiyaal bhi.

(Poetess: Parveen Shakir)

Saturday, March 6, 2010

Ek LaRki

Gulab chehre pe muskurahat
Chamakti aankhon mein shokh jazbe
Voh jab bhi college ki seidhiyon se
Saheliyon ko liye utarti
To aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
Kuch is tayaqqun se baat karti thi jaise duniya
Usi ki aankhon se dekhti ho
Voh apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kehti
"Tumhare jaise bahut se laRkon se main yeh batain
Bahut se barson se sun rahi hoon!
Main sahilon ki hawa hoon, neele samandaron ke liye bani hoon!"
Voh sahilon ki hawa si laRki
Jo rah chalti to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
Voh kal mili to is tarah thi
Chamakti aankhon mein shokh jazbe, gulab chehre pe muskurahat
K jaise chandi pigal rahi ho
Magar jo boli to us ke lehje mein voh thakan thi k jaise sadion se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho!

(Poet: Amjad Islam Amjad)

Kash Main Tere Haseen Hath

Kash main tere haseen hath ka kangan hota!


Tu bade pyar se bade chao se bade arman k sath
Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
Aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
Tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
Main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti
Tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata


Raat ko jab bhi tu nindoon ke safar par jati
Marmari hath ka ik takya banaya karti
Main tere kan se lag kar keheen batain karta
Teri zulfoon ko tere gal ko chuma karta
Jab bhi tu band qabaa kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husn se khera karta
Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
Main teri ruh k gulshan mein mahakta rehta
Main tere jism k angan mein khanakta rahta
Kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota


Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

(Poet: Wasi Shah)

Hamesha Dair Kar Deta Hoon

Hamesha dair kar deta hoon main
Har kaam karnay mein

Zaroori baat kehne ho
Koi wada nibhana ho
Usay aawaz deni ho
Usay wapis bulana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Madad karni ho us ki
Yaar ke dhaarus bundhana ho
Bohat dayreena rustoon par
Kisi se milne jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Budaltay mausmo ke sair mein
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho
Kisi ko bhool jana ho
Hamesha dair kar deta hoon main

Kisi ko maut se pehlay
Kisi ghum se buchana ho
Haqeeqat aur thi kuch us ko
Jaa kay yah batana ho

Hamesha dair kar deta hoon main
Har kaam karnay mein

(Poet: Munir Niazi)

Wednesday, March 3, 2010

Us Ne Jab Jab Bhi Mujhe

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin.
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin.

Loug sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain;
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujaRa Mohsin.

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahien aaye ga;
Gham aur aanso ne dia sahara Mohsin.

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha;
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin.

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi;
Us ka khona bhi karien kesey gavara Mohsin.

(Poet: Mohsin Naqvi)

Abhi To Main Javaan Hoon

Hava bhi khushgavar hai, guloon pe bhi nikhar hai,
Taranume hazar hai, bahar purbahar hai.
Kahan chala hai saqiya, idhar to laut idhar to aa,
Arre ye dekhta hai kya, utha subu, subu utha.

Subu utha piyala bhar, piyala bhar ke de idhar,
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar.
Vo kali kali badaliyaan, ufaq pe ho gahi ayaan,
Vo ik hajoum-e-maikashaan, hai su-e-maikada ravaan,
Ye kya gumaan hai badgumaan, samajh na mujhako natavaan.
Khayal-e-zohd abhi kahaan,

Abhi to main javaan hoon.

Ibadaton ka zikr hai, nijat ki bhi fikr hai,
Junoon hai sawab ka, khayal hai azab ka.
Magar suno to Shaikh ji, ajib shai hain aap bhi,
Bhala shabab-o-aashiqi, alag hue bhi hain kabhi.

Haseen jalavarez hoon, adayein fitanakhez hoon,
Havayein itr bez hoon, to shauq kyoun na tez hoon.
Nigaraha-e-fitanagar, koi idhar, koi udhar,
Ubharate hoon aish par, to kya kare koi bashar,
Chalo ji qissa mukhtasar, tumhara nukta-e-nazar,
Durust hai to ho, magar,

Abhi to main javaan hoon.

Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na past ka,
Na buud ka na hast ka, na vada-e-alast ka.
Umeed aur yaas gum, havas gum qayas gum,
Nazar se aas pas gum, hama bajuz gilas gum.

Na may mein kuchh kami rahe, meyqada se hamadami rahe,
Nishast ye jami rahe, yahi hamahami rahe.
Vo raag chhed mutariba, tarab-fiza alam-ruba,
Asar sada-e-saz ka, jigar mein aag de laga,
Har ik lab pe ho sada, na hath rok saqiya,
Pilaye ja pilaye ja, pilaye ja pilaye ja,

Abhi to main javaan hoon.

Ye gasht kohasar ki, ye sair juu-e-vaar ki,
Ye bulbuloon ke chahachahe, yeh gul rukhoon ke qahqahe.
Kisi se mel ho gaya, to ranj-o-fikr kho gaya,
Kabhi jo vaqt so gaya, ye hans gaya vo ro gaya.

Ye ishq ki kahaniyan, ye ras bhari javaniyan,
Udhar se meharabaniyan, idhar se lantaraniyan.
Ye asaman ye zameen, nazaraha-e dilanasheen,
Unhein hayat aafreen, bhala main chhod doon yaheen,
Hai maut is qadar qareen, mujhe na ayega yaqeen,
Nahin nahin abhi nahin, nahin nahin abhi nahin

Abhi to main javaan hoon.

(Poet: Hafeez Jalandhari)

Tumhe Jab Kabhi Milain

Tumhe jab kabhi milain fursatain mere dil se bhoj utar do.
Main bohat dinon se udas hoon mujhe koi sham udhar do.

Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad;
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do.

Kisi aur ko mere haal se na garz hai koi na wasta;
Main bikhr gya hoon smait lo, main bigaR gya hoon sanwar do.

Meri wehshton ko baRha dya hai jodaion ke azab ne;
Mere dil pe haath rakho zara meri daRknon ko qrar do.

Tumhe subhu kaisi lagi, kaho mere khawahshon ke dyar ki;
Jo bhali lagi to yahien raho, ise chahton se nikhar do.

Wahan ghar main kon ha muntzar ke ho fikar dair sawair ki;
BaRi mukhtsar si ye raat hai ise chandni main guzar do.

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot mein;
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do.

(Poet: Aitbar Sajid)