Monday, March 8, 2010

Koi Ham-nafas Nahien Hai

Koi ham-nafas nahien hai, koi razdaan nahien hai.
Faqat ek dil tha apna, so vo mehrbaan nahien hai.

Kisi aur Gham mein itni Khalish-e-nihaan nahien hai;
Gham-e-dil mera rafiqo, Gham-e-rayegaan nahien hai.

Meri rouh ki haqeeqat mere aansuon se poochho;
Mera majlisi tabassum, mera tarjumaan nahien hai.

Kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro;
BaRi dhoop paR rahi hai, koi sayebaan nahien hai.

Inheen pattharoon pe chal kar agar aa sako to aao;
Mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahien hai.

(Poet: Mustafa Zaidi)