Wednesday, March 3, 2010

Abhi To Main Javaan Hoon

Hava bhi khushgavar hai, guloon pe bhi nikhar hai,
Taranume hazar hai, bahar purbahar hai.
Kahan chala hai saqiya, idhar to laut idhar to aa,
Arre ye dekhta hai kya, utha subu, subu utha.

Subu utha piyala bhar, piyala bhar ke de idhar,
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar.
Vo kali kali badaliyaan, ufaq pe ho gahi ayaan,
Vo ik hajoum-e-maikashaan, hai su-e-maikada ravaan,
Ye kya gumaan hai badgumaan, samajh na mujhako natavaan.
Khayal-e-zohd abhi kahaan,

Abhi to main javaan hoon.

Ibadaton ka zikr hai, nijat ki bhi fikr hai,
Junoon hai sawab ka, khayal hai azab ka.
Magar suno to Shaikh ji, ajib shai hain aap bhi,
Bhala shabab-o-aashiqi, alag hue bhi hain kabhi.

Haseen jalavarez hoon, adayein fitanakhez hoon,
Havayein itr bez hoon, to shauq kyoun na tez hoon.
Nigaraha-e-fitanagar, koi idhar, koi udhar,
Ubharate hoon aish par, to kya kare koi bashar,
Chalo ji qissa mukhtasar, tumhara nukta-e-nazar,
Durust hai to ho, magar,

Abhi to main javaan hoon.

Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na past ka,
Na buud ka na hast ka, na vada-e-alast ka.
Umeed aur yaas gum, havas gum qayas gum,
Nazar se aas pas gum, hama bajuz gilas gum.

Na may mein kuchh kami rahe, meyqada se hamadami rahe,
Nishast ye jami rahe, yahi hamahami rahe.
Vo raag chhed mutariba, tarab-fiza alam-ruba,
Asar sada-e-saz ka, jigar mein aag de laga,
Har ik lab pe ho sada, na hath rok saqiya,
Pilaye ja pilaye ja, pilaye ja pilaye ja,

Abhi to main javaan hoon.

Ye gasht kohasar ki, ye sair juu-e-vaar ki,
Ye bulbuloon ke chahachahe, yeh gul rukhoon ke qahqahe.
Kisi se mel ho gaya, to ranj-o-fikr kho gaya,
Kabhi jo vaqt so gaya, ye hans gaya vo ro gaya.

Ye ishq ki kahaniyan, ye ras bhari javaniyan,
Udhar se meharabaniyan, idhar se lantaraniyan.
Ye asaman ye zameen, nazaraha-e dilanasheen,
Unhein hayat aafreen, bhala main chhod doon yaheen,
Hai maut is qadar qareen, mujhe na ayega yaqeen,
Nahin nahin abhi nahin, nahin nahin abhi nahin

Abhi to main javaan hoon.

(Poet: Hafeez Jalandhari)