Tuesday, March 9, 2010

Insha Ji! Utho Ab Kooch Karo

Insha ji! uTho! ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya.

(Poet: Ibn-e-Insha)