Sunday, March 14, 2010

Sochta Hoon Ke Bohat Sada

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main abhi us ko shanasa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham-e-ulfat na karoon
Us ko ruswa na karoon waqf-e-museebat na karoon

Sochta hoon ke abhi ranj se azad hai wo
Waqif-e-dard nahien, khoogar-e-alam nahien
Sehr-e-aish mein us ki asar-e-sham nahien
Zindagi us keliye zehr bhara jam nahien

Sochta hoon ke muhabbat he jawani ki khizan
Us ne dekha nahien dunya mein baharon ke siwa
Nik'hat-o-noor se labraiz nazaron ke siwa
Sabza zaron ke siwa aur sitaron ke siwa

Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaoon us ko
Samne us ke kabhi raz ko uryan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast-o-garayban na karoon
Us ke jazbat ko mein shola ba-daman na karoon

Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Wo muhabbat ki bhala taab kahan laye gi
Khud to wo atish-e-jazbat mein jal jaye gi
Aur dunya ko is anjam se taRpaye gi

Sochta hoon ke bohat sada-o-masoom hai wo
Main usay waqif-e-ulfat na karoon

(Poet: Noon Meem Rashid)