Saturday, March 6, 2010

Ek LaRki

Gulab chehre pe muskurahat
Chamakti aankhon mein shokh jazbe
Voh jab bhi college ki seidhiyon se
Saheliyon ko liye utarti
To aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
Kuch is tayaqqun se baat karti thi jaise duniya
Usi ki aankhon se dekhti ho
Voh apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kehti
"Tumhare jaise bahut se laRkon se main yeh batain
Bahut se barson se sun rahi hoon!
Main sahilon ki hawa hoon, neele samandaron ke liye bani hoon!"
Voh sahilon ki hawa si laRki
Jo rah chalti to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
Voh kal mili to is tarah thi
Chamakti aankhon mein shokh jazbe, gulab chehre pe muskurahat
K jaise chandi pigal rahi ho
Magar jo boli to us ke lehje mein voh thakan thi k jaise sadion se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho!

(Poet: Amjad Islam Amjad)