Wednesday, August 4, 2010

Ye na thi hamari qismat

Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota;
Agar aur jeete rehte, yehi intezar hota.

Tere vaade pe jiye hum, to ye jan jhoot jana;
Ke khushi se mar na jatay agar eitebar hota.

Teri nazuki se jana ke bandha tha ehd buoda;
Kabhi tu na tor sakta, agar astawaar hota.

Ye kahan ki dosti hai, ke bane hain dost naasih;
Koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota.

Kahon kis se main ke kia hai, shab e gham buri bala hai;
Mujhe kia bura tha marna, agar eitebar hota.

Hoye mar ke hum jo ruswa, hoye kyon na gharq e darya;
Na kabhi janaza uthta, na kaheen mazaar hota.

Ye masa'il e tasawwuf, ye tera bayan Ghalib;
Tujhe hum wali samajhte jo na bada khuwar hota.

(Poet: Mirza Asadullah Khan Ghalib)

Tuesday, May 11, 2010

Kaho To Laut Jatey Hain

Abhi to baat lamhon tak hai, salon tak nahien aai
Abhi muskanon ki nobat bhi nalon tak nahien aai
Abhi to koi majbori khiyalon tak nahien aai
Abhi to gard peron tak hai, balon tak nahien aai

Kaho to laut jatey hain

Chalo ek faisla karney shajar ki aut jatey hain

Abhi kajal ki dori surkh galoon tak nahien aai
Zuban datoon talak hai, zehr piyalon tak nahien aai
Abhi to mushk-e-kustori ghazalon tak nahien aai
Abhi rodad-e-beunwan humaray darmiyan hai, duniyan walon tak nahien aai

Kaho to lout jatey hain

Abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
Mubada nar ho jaay ye hasti noor hai apni

Kaho to lout jatey hain

Ye rasta piyar ka rasta, rasan ka dar ka rasta, bohat dushwar hai janaan
Keh is rastay ka har zarra bhi ek kohsar hai janaan

Kaho to lout jatey hain

Merey baray na kuch socho, mujhey tay karna ata hai, rasan ka, dar ka rasta
Ye asaiboon bhara rasta ye andhi ghaar ka rasta
Tumhara narm-o-nazuk hath ho agar merey hathoon mein
To main samjhoon ke jaisey do jahan hain meri muthi mein
Tumhara qurb ho to mushkilain kafoor ho jaain
Ye undhay aur kalay rastay pur noor ho jaain
Tumhary gaisoun ki chhaoon mil jaay to suraj sey ulajhna baat hi kiya hai
Utha lo apna saya to meri ouqat hi kiya hai

Meray baray na kuch socho, tum apni baat batlao
Kaho to chaltey rehtey hain, kaho to lout jatey hain

(Poet: Wasi Shah)

Thursday, April 29, 2010

Dhundo gey agar mulkon

Dhundo gey agar mulkon mulkon, milnay ke nahien nayab hain ham.
Tabeer hai jis ki hasrat-o-gham, ay humnafaso woh khwab hain ham.


Ay dard bata kuch tu hi pata, ab tak ye muamma hal na hua;
Hum mein hai dil-e-betaab nihan, ya ap dil-e-betaab hain ham.


Main hairat-o-hasrat ka mara, khamosh khara hoon saahil par;
Darya-e-muhabbat kehta hai, "Aa kuch bhi nahien payab hain ham."


Laakhon hi musafir chaltay hain, manzil pay puhanchtay hain do aik;
Ay ehl-e-zamana qadar karo, nayab na hoon kamyaab hain ham.


Murghan-e-qafas ko phoolon ne, ay ‘Shad’ ye kehla bheja hai;
Aa jaao jo tum ko aana ho, aesay mein abhi shadab hain ham.

(Poet: Shad Azeemabadi (real name Syed Ali Mohammed))

Wednesday, March 24, 2010

Eik Masoom Takaddus Mein

Eik masoom takaddus mein bhigoya huwa lams.
Kitna pakeeza hai ehsas mein dhoya huwa lams.

Ye tere jism ki khushboo ka sonehra ehsas;
Jis terha chand ke haaley mein paroya huwa lams.

Us ke hontoon ko main chhu loon to guman hota hai;
Jese janat ke gulaboon mein daboya huwa lams.

Jo meri rouh mein utrey he chale jate ho;
Ik nae rang mein ubhrey ga ye boya huwa lams.

Bhegi khusboo mein basa wasl mein bhega bhega;
Kitna masoom hai pehlo mein ye soya huwa lams.

Tishnagi aan basi hai meri pooroon mein 'Wasi';
Dhondta phirta hoon mudat se main khoya huwa lams.

(Poet: Wasi Shah)

Ku-ba-ku Phail Gai Baat

Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki.
Us ne Khushboo ki tarah meri pazirai ki.

Kaise kah doon ke mujhe chor diya hai us ne;
Baat to sach hai magar baat hai rusvai ki.

Vo kahin bhi gaya lauTa to mere paas aya;
Bas yahi baat hai achchhi mere harajai ki.

Tera pahalo tere dil ki tarah abad rahe;
Tujh pe guzare na qayamat shab-e-tanhai ki.

Us ne jalati hui peshani pe jo hath rakha;
Rouh tak aa gai taseer maseehai ki.

(Poetess: Parveen Shakir)

Tarap Uthoon Bhi To Zalim

Tarap uthoon bhi to zalim teri duhai na doon.
Main zakhm zakhm hoon phir bhi tujhe dikhai na doon.

Tere badan main dharakne laga hoon dil ki tarah;
Ye aur baat ke ab bhi tujhe sunai na doon.

Khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai;
Ke ab kabhi use ilzam-e-bevafai na doon.

Mujhe bhi dhundh kabhi ae mahv-e-ainadari;
Main tera aqs hoon lekin tujhe dikhai na doon.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tere Hote Hue Mahfil Mein

Tere hote hue mahfil mein jalate hain chirag.
Log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag.

Apni mahrumiyo pe sharminda hain;
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag.

Bastiyan chand sitaro pe basane vale;
Kurra-e-arz pe bujhate jate hain chirag.

Kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain;
Jo zamane ki havaon se bachte hain chirag.

Aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz';
Raat to raat ham din ko jalate hain chirag.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi

Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto.
Ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto.

Kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain;
Ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto.

Apne siva hamare na hone ka gam kise;
Apni talash main to ham hi ham hain dosto.

Kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha;
Kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto.

Is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo;
Ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto.

Sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai;
Duniya main aise log bahut kam hain dosto.

(Poet: Ahmed Faraz)

Tuesday, March 23, 2010

O Des Say Aney Waley Bata

O des say aney waley bata

Kis haal mein hain yaran-e-watan?
Aawara-e-ghurbat ko bhi suna
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi watan mein waise hi
Sar-mast nazarey hotey hain?
Kiya ab bhi suhani raton ko
Wo chand sitarey hotey hain?
Hum khail jo khaila kartey they, kiya
Ab bhi wo sarey hotey hain?

O des say aney waley bata

Shadab shagufta pholon sey
Ma'moor hain gulzar ab k nahien?
Bazar mein malan lati hai
Pholon k gundhey haar ab k nahien?
Aur shouq sey totey partey hain
No-umr khareedar ab k nahien?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan waisi hi jawan
Aur madh bhari ratain hoti hain?
Kiya raat bhar ab bhi geeton ki
Aur piyar ki batain hoti hain?
Wo husn k jado chaltey hain
Wo ishq ki ghatain hoti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan k panghat per
Pinhariyan pani bharti hain?
Ungrai ka naqsha ban ban kar
Sab mathey pe gagar dharti hain?
Aur apney ghar ko jatey howe
Hansti hoi chehlain karti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi pahari ghatiyon mein
Ghanghor ghatain gonjti hain?
Sahil k ghanerey pairon mein
Barkha ki sadahien gonjti hain?
Jhengar k taraney jagtey hain
Morom ki sadahien gonjti hain?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi
Barsat ka joban hota hai?
Phailey howe Pair ki shakhon mein
Jholon ka nasheman hota hai?
Umdey howe badal hotey hain
Chaya howa sawan hota hai?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi wahan barsat k din
Baghon mein baharain ati hain?
Masoom o haseen do-shiza'ain
Barkha k taraney gati hain?
Aur tetariyon ki tarha sey rangeen
Jholon per lehrati hain?

O des say aney waley bata

Kiya pehli si hai masoom abhi
Wo madrasey ki shadab fiza?
Kuch bholey howe din guzrey hain
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?

O des say aney waley bata

Kiya ab bhi kisi k seeney mein
Baqi hai humari chah bata?
Kiya yad humain bhi karta hai ab
Yaron main koi Aah bata?
O des say aney waley bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des say aney waley bata

Kiya ab bhi fajar dam ch'rwahey
Rewar ko charaney jatey hain?
Aur sham k dhundhley sayon k
Ham-rah ghar ko atey hain?
Aur apni raseeli bansriyon
Mein ishq k naghmey gatey hain?

O des say aney waley bata

Akhir mein ye hasrat hai k bata
Wo gharat-e-eman kaisi hai?
Bachpan mein jo aafat dhati thi
Wo aafat-e-doran kaisi hai?
Hum dono thay jis k parwaney
Wo shama-e-shabistan kaisi hai?

O des say aney waley bata

Marjana tha jis ka naam bata
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hai?
Jis per thay fida tiflan-e-watan
Wo jan-e-watan kis haal mein hai?
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan
Wo seem badan kis haal mein hai?

O des say aney waley bata

Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan
Maikay mein hai ya susraal gai?
Do-sheeza hai ya aafat mein usay
Kam-bakht jawani daal gai?
Ghar per hi rahi ya ghar say gai
Khush haal rahi, khush haal gai?

O des say aney waley bata

(Poet: Akhtar Shirani)

Monday, March 22, 2010

Jo Khayal Thay Na Qayas Thay

Jo khayal thay na qayas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.
Jo mohabbaton ki asaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Jinhain manta hi nahien ye dil, wohi loag merey hain hamsafar;
Mujhey har terha sey jo raas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Mujhey lamha bhar ki rifaqaton ke saraab bohat satayein gey;
Meri umr bher ki jo pyaas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Ye jaal sarey hain aarzi, ye gulaab sarey hain kaghzi;
Gul-e-arzo ki jo baas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Jinhain ker saka na kubool main, wohi shareek-e-rah safer huey;
Jo meri talab meri aas thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

Meri dharkanon ke kareeb thay, meri chah thay mera khuaab thay;
Wo jo roz-o-shab meray pass thay, wohi loag mujh sey bichar gaye.

(Poet: Aitbar Sajid)