Sunday, March 7, 2010

Kutch Tu Hawa Bhi Sard Thi

Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Dil ko khushi k saath saath, hota raha malaal bhi.

Baat wo aadhi raat ki, raat wo purey chand ki;
Chand bhi ain chait ka, uspe tera jamaal bhi.

Sab se nazar bacha k wo, mujh ko kuch aise dekhta;
Aik dafa tu ruk gahi gardish-e-mah-o-saal bhi.

Dil tu chamak sakey ga kia, phir bhi tarash k dekh lain;
Sheesha garan-e-shehar ke haath ka yeh kamaal bhi.

Usko na paa sakey thay jab, dil ka ajab haal tha;
Ab jo palat k dekhiye, baat thi kuch muhaal bhi.

Meri talab tha ek shaks, wo jo nahi mila tu phir;
Haath dua se yuon gira, bhool gaya sawaal bhi.

Uski sukhan taraziyan, mere liye bhi dhhal thein;
Uski hansi main chup gaya, apne ghamon ka haal bhi.

Gah-e-kareeb shahrag, gah-e-baeed wehm-o-guman;
Uski rafakaton mein raat, hijar bhi tha wasaal bhi.

Shaam ki nasamjh hawa, pooch rahi hai ek pata;
Moj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch tu mera khiyaal bhi.

(Poetess: Parveen Shakir)