Saturday, March 6, 2010

Kash Main Tere Haseen Hath

Kash main tere haseen hath ka kangan hota!


Tu bade pyar se bade chao se bade arman k sath
Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
Aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
Tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
Main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti
Tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata


Raat ko jab bhi tu nindoon ke safar par jati
Marmari hath ka ik takya banaya karti
Main tere kan se lag kar keheen batain karta
Teri zulfoon ko tere gal ko chuma karta
Jab bhi tu band qabaa kholne lagti janan
Apni ankhon ko tere husn se khera karta
Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
Main teri ruh k gulshan mein mahakta rehta
Main tere jism k angan mein khanakta rahta
Kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota


Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

(Poet: Wasi Shah)