Sunday, March 7, 2010

Main Khayaal Hoon Kisi Aur Ka

Main Khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai.
Sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina koi aur hai.

Main kisi ke dast-e-talab mein hoon, to kisi ke harf-e-duwa mein hoon;
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangata koi aur hai.

Kabhi lauT aayein to na poochhna, sirf dekhna baRe Ghaur se;
Jinhein raaste mein Khabar huhi, ke yeh raasata koi aur hai.

Ajab aitbar-o-be-aitbari ke darmiyan hai zindagi;
Main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanata koi aur hai.

Vahi munsifoon ki rivayatein, vahi faisaloon ki ibaratein;
Mera jurm to koi aur tha, par meri saza koi aur hai.

Teri roshni meri Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar;
Tu qareeb aa tujhe dekh loon, tu vahi hai ya koi aur hai.

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko 'Saleem' subh na mil saki;
To phir is ke maani to ye huhe, ke yahaan Khuda koi aur hai.

(Poet: Saleem Kausar)