Sunday, March 7, 2010

Main Nazar Se Pi Raha Hoon

Main nazar se pi raha hoon, yeh samaan badal na jaaye.
Na jhukaho tum nigaahein, kahien raat Dhal na jaaye.

Abhi raat kuch hai baqi, na uTha naqaab saqi;
Tera rind girte girte, kahien phir sanbhal na jaaye.

Meri zindagi ke maalik, mere dil pe haath rakhna;
Tere aane ki khushi mein, mera dam nikal na jaaye.

Mere ashk bhi hain is mein, yeh sharaab ubal na jaaye;
Mera jaam chhounne vaale, tera haath jal na jaaye.

Main bana to loon nasheman, kisi shaaKh-e-gulsitaan pe;
Kahien sath aashiyan ke, yeh chaman bhi jal na jaaye.

Mujhe phoonkne se pehle, mera dil nikaal lena;
Yeh kisi ki hai amaanat, mere sath jal na jaaye.

(Poet: Anwar Mirzapuri)